Google

Yaadein..

Yaadein
=======

Zindgi mein to tumhari aa na sake, ab khwaabon mein chale aate hain
Tum laakh nazrein pher lo sanam, hum phir bhi chale aate hain

Kahne ko to tum bhul chuke the, phir bhi anjaane mein pukarte ho
Tum kabhi bhule nahin the, sirf jaankar anjaane mein pukarte ho

Mann to mann hai, mann ko kya kahena
Hum aayenge sapno mein, sapno ko kya kahena

Azeez bewafa nahin, tum paas aao ya na aao,
Wo mar ke bhi mara nahin, uski yaadon ko gale se lagao......!!