Google

afsaane lagte hai..


pyaar ishq yeh bemaane lagte hai
is duniya ki bheed mein
sab begaane lagte hai

jinhe samjha tha apna
woh saath chode gaye

ab to bekaar zindagi ke
paimaane lagte hai

raahat hogi jab deed-e-yaar hoga

tab tak sab dukh begaane lagte hai

teri yaad hai jo pagal kar gayi hume

ke sidhe sadhe
duniya ko deewane lagte hai

kis raahat ki baat karte ho aap

ab to aks khud ka bhi aap jaisa lagta hai

main kaise kahu bin tere jee lenge hum

"monia" is kashmkash mein bhi ache afsaane lagte hai..