|~] wajah|~|

wajah ye nahi ki tum bure ho sakte nahi...
wajah ye hai ki me acha samajhna chahti hoon.
wajah ye nahi ki tu ne mujhko chaha nahi...
wajah ye hai ki me sirf tujh hi ko chahti hoon.
wajah ye nahi ki tu ne mujko ghum nahi diye...
wajah ye hai ki me her ghum sehna chahti hoon.
wajah ye nahi ki tujhe bhool nahi sakti me...
wajah ye hai ke tujhe yaad rakhna chahti hoon.
wajah ye nahi tu tabeer de sake na mujhe...
wajah ye hai ki me khuaabon me rehna chahti hoon.