Tujhe Izhaar-e-Mohabbat ..
Tujhe Izhaar-e-Mohabbat se agar Nafrat hai
Tuu ne Honyon ko Larazne se to Roka hota
Be-Niyaazi se, Magar kaanpti Awaaz ke saath
Tuu ne Ghabra ke Mera Naam na puchaa hota
Tere bas mai thi agar Mash’al-e-Jazbaat ki Lau
Tere Rukhsaar mai Gulzar na Bharka hota
Yun to Mujh se hoi sirf Aab-o-Hava ki Baatein
Apne Toote hoe Fiqron ko to Parkha hota
Yun hi Be-wajah Thithakney ki Zururat kya thi
Dam-e-Rukhsat mai agar Yaad na aaya hota
Tera Ghammaz bana khud Tera Andaaz-e-Khiraam
Dil na Sambhlaa, to Qadmon ko Sambhala hota
Apne badle Meri Tasveer Nazar aa jaati
Tuu ne us waqt agar Aainaa dekhaa hota