Google

Main Tanha Thi...


Aik Rah Per Sari Umer Chaley Ek Dojey Ko Na Samjh Sakey
Jeevan Ka Safer Anjaan Safer
Bay
_Khahish Bay_Araam Safer
Jevan K Kissi Bhi Dukh Sukh Main
Woh Meray Saath Shareek Nahin

Hum Dono Main Ek Rishta Hai

Per Jazboon Ki Tehreek Nahin

Jari Hai, Mager Anjaan Safer
Main
Sochti Hoon
Aik Din Yunhi

Woh Mujh Sey Juda Ho Jayega

Ya Pehlay Main Mar Jaon Gi
Ya Shaid Woh Mar Jayega Phir Loug Kahin Gay Inka Yeh Rishta Kitna Sacha Tha Per Kiss Ko Khaber, Sara Jeevan
Woh Tanha Tha...

Main Tanha Thi...